Naari
Aao aaj kuch baat karein
Kyun na sanskriti par naaz karein
Puranon mein jo likhi duniyadaari mein bhi pai hai
Kyunki aaj bhi ramayan ,mahabharat gazab dhaii thi
Seeta ki tyag ki kahaniyan jo samaaj sunata hai
Voh kyun na apne ko ram jaisa banata hai
Chalo gaur pharmaye sitaji ki taakat par
Jo tyaag kar sab kuch paale dono putra apne dam par
Ladkiyon ko kamjoor kehne walo jara dhyaan dena
Ek baar samajhkar sita ke sabr tyag aatmvishwas aur prabaltpar ldkiyon ko kamjoor na kehna
Doohra lo itihaas ke panne jahan jo kehti hain naariyon ki shakti ki kahani
Na kabhi nariyan kamjoor thi na unhone kabhi haar maani ....
BY SIMRAN CHARLIE
Comments
Post a Comment